Wo kehta tha Tum aao.....

Wo kehta tha!
Tum aao sheher mera ghaur se, nazdeek se dekho
Yahan k log aur un ki saqafat. . .aur

Kisi ko paa k khonay ki haseen lazzat
Yahan ka rehna, basna, bolna, hansna
Muhabbat k anokhay roop

In ki chaa’on in ki dhoop tum dekho!
Yahan k jazbay boht sachay, boht achay boht masoom hoty hain
Mery dil ne kaha aao samander choo k dekhaingy

Wahan ja kar laga wo sheher mera hai
Wahan sahil bhi mera us pe likhy khuwab mery hain
Samander ki sabhi mauj’on pe mery aks thehery hain

Wo saray log mery hain sabhi manoos chehray hain
Wahab mitt, hawain, phool, pathar tak lagy apny
Magar ik ajnabi c,daimi dil ko kasak is shakhs ne bakhsi

jo aksar tang karti hai, jo mujh se jang krti hai
Boht socha k aisa kyun hua, kaisy hua aakhir
Tou dil ne holay holay se kaha ye sab to hona tha

Tumhain us shakhs se milna, usey pana, khona tha
Azal se is tarha hota chala aya
Anokha bhaid hai is ko kisi ne kab, kahan paaya

Bus itni baat tum ko yaad rakhni hai
Tumhain us se muhabbat hai
Laga chaar’on taraf fitrat pukaar uthi

Tumhain us se muhabbat hai, Tumhain us se muhabbat hai
Mery dil ne mery honton ne bhi iqraar ki manzil choo kar

kah diya Yak Dam
Mujhy Us se Muhabbat Hai
MUJHY US SE MUHABBAT HAI. . !

S@DI@

No comments:

Post a Comment