Umeed poetry


thahar jaao! ki ..hairaani to jaaye;
tumhaari shaql pahchaani to jaaye!

shab-e-gam !too hi mehmaan ban ke aa jaa;
humaare ghar ki veeraani to jaaye!

zaraa khul kar bhi ro lene do humko;
ki ..dil ki aag tak paani ho jaaye.

balaa se tod daalo aaino ko;
kisi soorat ye hairaani to jaaye??

S@di@

No comments:

Post a Comment