Tu ney dekhi hai khawab’on......

 
Tu ney dekhi hai khawab’on ki wo rah guzar
Jis ki manzil thi ujra hua sagar

Surmai sham thi jis key char’on taraf
Jis mein manzar judai key thay saf ba saf

Wasal tha sar ba-kaf
Ban gaya kirchi’yan man ka nazuk sadaf
Tu ney dekhi hai khawab’on ki wo rah guzar..?

Sang rez’on ki barish hoi thi jaha’n
Aur komal jazbey be-hadaf ban gaye

Paimali ney in ko lahoo ker diya
Ba-wazo ker diya…sur-kharo ker diya

Aaj bhi jo musafir gaya is taraf
Us nay paya nahi wapsi ka nisha’n

Is ko dhonda falaq ney yahan sey waha’n
Tu ney dekhi hai khawab’on ki wo rah guzar..?
 
S@DI@

No comments:

Post a Comment