Puraani kitaab mein rakhi tasveer........


Puraani kitaab mein rakhi tasveer se baatain
Aaj barsoon ke baad dekha hai

Ab bhi aankhoon ka rang ghehra hai
Aur maathay ki saanwli si lakeer

Dil mein kitne deeye jalaati hai
Teri qaamat ke saaye ki khushboo

Guftugoo mein bahaar ka mausam
Be-sabab aitbaar ka mausam

Kyon mujhe saaray dhang yaad rahay
Kitni hairaan hogaee khud per

Mein tujhe aaj tak nahee bhuli
Pichle mausam ki yaad baaqi hai ..

S@DI@

No comments:

Post a Comment