Mohabat khud batati hai.........

Mohabat khud batati hai
Kahan kiska thikana hai

Kisay aankhon main rakhna hai
Kisay dil main basana hai

Reha karma hai kisko aur
Kisay zanjeer karma hai

Mitana hai kisay dil say
Kisay tehreer karma hai

Issay malom hota hai
Safar dushwar kitna hai

Kisi ki chasm-e-girya main
Chupa iqrar kitna hai

Shajar jo girnay wala hai
Wo saya daar kitna hai

Mohabbat khud batati hai
Kahan kiska thikana hai..!

S@DI@

No comments:

Post a Comment